Monday 20 July 2015

BidVertiser se Payse kaise kamaye blog or website par


BidVertiser se Payse kaise kamaye blog or website par



BidVertiser (A Division off Bpath,LTD) ek bhut purani PPC (pay par click) ki site hai jo 2003 me start hui thi Adsense ke lagbhg sath me. Me is post me bilkul bistaar se bataoga ki BidVertiser kya hai or kaise kya hota hai. isse phele ki aap is website se jude ye baate jaanna jaruri hai aapke liye.

Ham jaante hai ke Ads hamari websites or Blogs ke liye kitne jaruri hote hai paysa kamane ke liye. Me aapse khana chahuga ki is post ko padne se phele apne dimag ko thoda fresh kar le Q ki ye post thodi lambi hai. Me is post me puri kosis karuga ki aapke har sabaal ka jabaab aapko de saku is post ke end



Account banane ke liye yaha jaye or jaldi se apna account approved karay



BidVertiser Kya Hai ?

BidVertiser alag PPC (Pay Par Click) network hai jo har bar visitor ke click karne par paysa deti hai jisse ham apni website ya blog par lagate hai.
Visitor agar ads par click karta hai or fir jo agla page khulta hai agar bo us page me interest leta hai matlab jo agle page me khulta hai – form ko fill karta hai, koi product leta hai to hamari commision hoti hai bo double ho jati hai. to hamesa chance hota hai double earning ka par bo visitor par nirbhar karti hai.

 BidVertiser Kaam kaise karta hai

Ye kuch tarike hai BidVertiser ke. jo usko  sabse alag karte hai.
  1. Jo Advertisers hote hai bo apni site ya blog ke promation ke liye BidVertiser ko payse dete hai or khate hai ki hamari is site ka promation karo
  2. Fir BidVertiser uski site ko check karta hai or pir usko unki category me set kar deta hai.
  3. jab koi visitor unki website par jata hai to unki income hoti hai or usme se kuch commission BidVertiser ke pass aata hai.
  4. Publisher (yani ham) har mahine ki aakri tarik ko hamari commission hamare paas aati hai.

 BidVertiser Par Account ke liya kya-kya chaiye

Is par Publisher ke account ke liye ye hona jaruri hai,
  1. Ek Email ID: Is je jariye hi ham apne BidVertiser account me login kar sakte hai.
  2. PayPal Account: Hamari jo income hoti hai bo ham paypal ke jariye hi le sakte hai. Agar aapka paypal account nahi hai to ye post padiye – 
  3. Blog/Website: Blog ya website hona bhi jaruri hai q ki BidVertiser hame jo ad ke code deta hai ham bo inhi par lagate hai. Agar aapka koi blog nahi hai to aap bana sakte hai blogger par bilkul free. kaise banaye uski puri jaankari yaha par hai 

Payment kaise milti hai

Sabse achi baat BidVertiser ki ye hai ki iski sabse kam payment le sakte hai to jo naya account banate hai agar unki income kam hoti hai jabbhi bo apne paysae le satka hai. Ye kuch tarike hai Payment lene ke
  • PayPal – Kamsekam $10
  • Western Union – Kamsekam $100
  • Check – Kamsekam $100
  • Wire Transfer – kamsekam $10


No comments:

Post a Comment